Monday, 30 December 2024

NAU MAULUD K NAM >NEW BORN'S NAME..!

 


Aaj kal bacho k nam fancy rakhnay ki ek fation chal rahi hain.aesay aesay nam rakhay jatay hain ki uska maana bahot galat hota hain.apnay bacho ka nam achay rakha karo aur hadis may aaya hain ki walidain par bacho ka ek haq ye bhi hain ki walidan uska nam acha rakhay.nam may bahot tasir rakhi gayi hain...

Aaen es baray me ek hadis bhi parh lijye taki aapko meray alfazo ki qadr o kimmat bhi ho jaen …sarkar e do aalam sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya ki “Aadmi sab se pahla tohfa apnay bacchay ko nam ka deta hain esliye chahiye ki us ka nam achha rakhay…!”
Aur achay nam rakhnay ki kai ahadis e pak maujud hain.huzur tajdar e madina sallallahu alayhi w aalehi w sallam ka irshad hain ki qiyamat k din tum apnay aur apay aaba k namo se pukaray jaongay.lihaja apnay nam achay rakha karo..!
Nam ki Ahmiyat ka pata yahan se bhi lagaon ki huzur nabi e pak sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne hamaray kachhay bacho ka nam rakhnay ka bhi hukm diya yani jo bacha paida honay se pahlay faut ho jaen ya jo hamal gir jaen uskay bhi nam rakha karo.aur jo musalman apnay kachay bacho k nam nahi rakhtay hain to wo uskay liye qiyamat me pakad ka sabb banaega esliye kachay bacho ka nam bhi rakha karo.ye hi Aaqa e do jahan sallallahu alayhi w aalehi w sallam ka hukm hain.
Ab bachay ka nam kab rakha jaen ye bhi parh lijye…
Afzal ye hain ki 7ve din bachay ka nam rakha jaen aur aqiqa kiya jaen.aqiqa karnay se pahlay bhi nam rakh saktay hain yani agar hasiyat nahi hain to sirf nam rakhlay aur bad me aqiqa kar saktay hain.hazrat e amr bin soyeb se riwayat hain ki huzur nabi e pak sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne bachay ki paidaesh k 7ve din uska nam rakhnay ka hukm irshad farmaya hain.
Ab aksar hamaray mulk me ye riwaj hain ki bachay ka nam uski fufi vigera rakhti hain aur esi wajah se hi sab ulat palat nam ho rahay hain.agar walid sahib razi hain aur fufi dadi wigera nam rakhay koi harz nahi lekin nam acha hona chahiye shariyat k mutabiq islami nam ho,ab es hadis e pak ko parhay aur janay ki nam kaun rakhay..?
Nabi e kareem sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya ki aulad ka walid par ye haq hain ki uska acha nam rakhay aur adab sikhaye.
Hazrat Allama Abdur rauf manavi rahmatullah alay es hadis k tahat farmatay hain ki nam insan ki shakhsiyat k liye jism ki tarha hota hain.aur uski shakhsiyat ki akkasi karta hain.nam ka asar shakhsiyat par aur shakhsiyat par nam ka asar zahir hota hain.


Allah taala ham sab ko taufiq ata karay aameen.
Insan k naam ka unki shakhsiyat par kya asar parhta hain wo to aap jan chukay hain.aur amaliyat k nazriye se yani ki ilm rohaniyat ki ru se bhi dekha jaen to insan ka nam uski achayi w burayi k liye dakhal rakhta hain.achay se murad wo nam rakhna hain jissay insan ka nam sunkar logon k dilo me zahan me unkay liye achay khyalat paida ho.aur ye jo qaeda hain wo ilmul aadad w najoom ka barha asardar tareeqa hain.
main apnay course members ko ye qawaed tafseel say sikhata hu jissay wo bacho k nam achay say rakh paen.
jo walidain apnay bacho k nam Amaliyat e Jafar ki roshni may rakhna chahtay hain uskay liye main yahan ek service shuru kar raha hun.
ilm jafar say bacha ka nam kaafi muafiqat say rakha jata hain jissay bacho ki zindagi aasan rahti hain.
agar nam may mukhalifat hoti hain to bacha walid ya walida say ya phir dono say badzan raha karta hain aur aapas may banti nahi hain.aur digar chizo may bhi bacho ko parayshaniyo ka samna karna parhta hain aap ek choti si raqam de kar ham say 4-5 nam bacho k hasil kar saktay hain jo ayn muafiq hoga aur khush kismati lanay walay hongay.
es servide k liye aapko bachay ki tarikh pedaesh,waqt pedaesh(optional) aur pedaesh ki jagah(optinal) yani Birth Date aur agar sath may birth time aur place of birth bhi day to mazid behtar aur walid aur walida ka nam batana hain. hadiya 786rs dena hoga.
aapko do say teen din may muafiq asma jo kam say kam 4-5 hongay wo mil jaega.jiskay rakhnay say aapkay bacho ka jismani rohani aamaali jismani development hoga.insha Allah.
NOTE : 
eskay sath bacho k aadad qamri aur english abjd aur ham aadad ism e aazam bhi bataya jaega. 
to know more contact :
whats App (+91) 9106960521
Email : haziraat92@gmail.com 
 

No comments:

Post a Comment

TILISMI ANGOOTHI K SATH PYRITE (MONEY ATTRAC STONE) BILKUL FREE..STOCK LIMIT HAIN..

     TILISMI ANGOOTHI NEW DESIGN MAY MAUJOOD HAIN..!   pyrite money stone ka stock limit hain jald order karay.  04/04/2025 say lay kar 31/...