Aaj ke is fitno bhare daur mein aksar log apne zaati faide, hasad ya dushmani ki wajah se dusron par jhoote ilzam aur tohmatein laga dete hain. Bohat se sharif aur nek log bina kisi ghalati ke badnami ka shikar ho jate hain. Islam mein kisi par jhooti tohmat lagana bohat bada gunah hai aur Allah Ta’ala ke nazdeek sakht napasandida amal hai.
Agar kisi sharif insan par jhooti tohmat lag jaye to usay sab se pehle Allah Ta’ala ki taraf ruju karna chahiye, Tauba o Istighfar ki kasrat karni chahiye aur Allah se insaf aur madad ki puri umeed rakhni chahiye. Insha Allah, Allah Ta’ala mazloom ki madad zaroor farmata hai aur zalim ko ruswa karta hai.
Buzurgan e Deen ne aise mauqe ke liye kuch roohani wazaif bhi bataye hain. Ye wazaif asal mein Allah Ta’ala se dua aur madad talab karne ka zariya hote hain.
Juthi Tohmat Se Nijat Ka Mujarrab Wazifa
Ism e Mubarak
یا شَهِیْدُ
Ya Shaheedu
Wazifa Karne Ka Tareeqa
- Jis shakhs par jhooti tohmat lagi ho, ya uske ghar ka koi fard uski taraf se ye wazifa kar sakta hai.
- Rozana Asar ki namaz ke baad ye wazifa kiya jaye.
- Behtar hai ke kisi masjid ya kabristan mein baith kar sukoon aur tawajju ke sath padha jaye.
-
Rozana 1100 martaba
“Ya Shaheedu” ka wird karein. - Wazifa shuru karne se pehle aur aakhir mein 11-11 martaba Durood e Pak zaroor padhein.
- Is amal ko musalsal 11 din tak karein.
- Waqt Asar se Maghrib ke darmiyan rahe.
Wazifa mukammal karne ke baad Allah Ta’ala ke huzoor girgira kar dua karein ke Allah aap ko is jhooti tohmat se baizzat bari farma de aur haq ko zahir farma de.
Wazifa Ke Baad
Insha Allah, Allah Ta’ala apni ghaibi madad se asbab paida farmayega aur mazloom ko jhooti tohmat se nijat milegi. Jab Allah Ta’ala aap ko kamyabi aur bariyat ata farma de to:
- Do rakat Nafl Namaz e Shukrana ada karein.
- Allah Ta’ala ka dil se shukr ada karein.
- Hasb e taufiq kisi gareeb ya mohtaj ko khana khilayein ya sadqa karein.
Ahm Naseehat
Yaad rakhein ke har mushkil mein sab se badi taqat Allah Ta’ala par bharosa aur sabr hai. Kisi par jhoota ilzam lagana bohat bada zulm hai, is liye hamesha apni zaban aur amal ki hifazat karein.
Dua
Allah Ta’ala se dua hai ke Allah hum sab ko jhooti tohmato, badnami aur har qisam ke fitno se mahfooz farmaye, hamari izzat, iman, jaan aur maal ki hifazat farmaye.
Aameen Ya Rabbal Aalameen
No comments:
Post a Comment