es daur ki sab say ziada zaroorat hain apnay dil o dimag ko sukoon dena.tawojah ka barkarar rakhna.
ye chiz har jagah zaroori hain chahay ye wo Elm ka mamla ho ya parhayi ka mamla ho ya karobar ya sehat ya deeni dunyavi taraqqi k mamlat ho.dil dimag aur rooh may quwwat k liye kaseer khyali ko dur karnay k liye log muraqiba zikr o durood azqar kartay hain.lekin es bhagdaur ki zindagi may apnay aapko sukoon may rakhnay k liye dil dimag ko quwwat denay rooh ko tazgi denay k liye qudrat k kuch aesay patthar hain jisay pas rakhnay say hamay aesi rohaniyat hasil hoti hain jo hamaray dil dimag ko sukoon aur tawoojah ko barhati hain.kamyabi laati hain.
aksar amal ya wazaef parhtay waqt to hamay lagta hain jaisay hamaray andar koi rohani quwwat paida ho rahi hain.lekin bad may aesa mahsoos hota hain ki hamay wo fawaed nahi milay jo hamnay mahnat ki uskay mutabiq na mila to waisay to Qurani noorani wazaef k wird say ham mahroom to rahntay hi nahi agar bazahir koi asar na maloom ho lekin deeni dunyabi aur aakhirat k liye besumaar fawaaed hasil hotay hain.phir bhi main aapko bataunga ki aap wird clear quartz ki tasbeeh say ya kisi bhi crystal ki tasbeeh say say karay ya kam say kam jo bracelet pahan rakha hain us par wird k ikhtataam par dam kardiya karay.
aapko mahsoos hoga ki jaisay aapnay jo wird ya azqar kiye hain uski rohaniyat aapko mil rahi hain aur mahsoos hogi.kiyu k ye crystals jazb ki quwwat rakhtay hain aur uskay liye mai khas tareeqa bhi likhta hun jo crystals ya bracelets tasbeeh kharidtay hain.
aap bhi esko aaj hi khariday aur apni mahnat ka kai guna sila hasil kar saktay hain.pahnay nahi to sirf sath rakhnay say bhi kai fawaed hain ghar may crystal tree rakhnay k kai fawaed hain aur yahan say jo bhi crystals vigera rawana hota hain wo aapkay nam k sath maqsad k sath dam kar kay bheja jata hain aur wo usi k mutabiq asar zahir kartay hain.
kai tarha ki manafi quwwato say hifazat hoti hain.nazr e bad jadu saaya hasad k ilawa aap mobile rediation say bhi kaafi had tak mahfooz rahtay hain.
western countries may to kaafi log esko apna chukay hain aur research kar rahay hain.digar menghay pattharo say kaafi sastay hotay hain aur asardar hotay hain.
hamsay aap natural crystals kharid kar dam shuda hasil karay aur aapki jismani rohani maali mamlat may tabdili mahsoos karay taraqqi hasil karay.barbar nakaami ya logo k darmiyan jaanay ya ghabranay k mamlat thik ho jatay hain tawojah may izafa hota hain.susti kahili dur hoti hain.maali rukawatay dur hoti hain aur taraqqi aur khushi hasil hoti hain.
mainay khud kai tajorbat kiye hain aur hairan rahkar phir eski tilismi quwwat par yaqin kiya hain aur dusro ko faeda pahochanay k liye farokht karna fawaed batana shuru kiya hain.
alhamdulillah ab tak kaafi tajorbat mujay milay hain aur hairan kun milay hain.
aap tajorba k liye ham say sirf ek 7 chakrat bracelet hasil karay aur kuch din pahan kar ya sath rakh kar ya kam say kam purse may rakh kar ya kam karnay k table par rakh kar tajorba karay.agar aapko kuch acha fark mahsoos hota hain to phir aap crystal tumbels stone, pyramid,cystal trees,crystal globe mangwaye.
aap jab bhi hamay order karay to aap apna name with mother name aur birthdate bhi send kar saktay hain to aapki zaroorat k mutabiq digar crystals bhi bracelet ya jo bhi aapnay magwaya hain wo add kardiye jaengay.jissay aapko bharpur fawaed hasil hol
jaisay aapnay miya biwi may muhabbat pyar aur relation may behtari k liye rose quartz ka bracelet mangwaya aur aapki detail share ki jissay ham pata karaengay ki eskay sath digar kaun say crystals add kiye jaen jo mazid faaeda dengay to ham rose quartz k sath aapko wo crystal bhi wo hi bracelet may sath may de dengay.wo bhi extra hadiya liye bagair.
ummid hain aapko crystals k fawaed k baray may thodi bahot jankari hasil ho gayi aur aap order \karwana chahtay hain to contact karay...
Email : haziraaat92@gmail.com
Whats App : 9106960521[india]
No comments:
Post a Comment